Log kehtay hain kayamat kay din marr jaeen gay
Hum bhi bohot chalaak hai,mangi thallay war jaeen gay |
Wo ankh bari pyaari thi jo hum nay usay mari thi
Wo sandle bari bhari thi jo us nay hamay mari thi
|
Mera dil para hai loose Is ko matt karo tum use
Warna parain gay tum ko shoes |
"Sahib Zaday kiya karte hain" Larki Waloon ne poocha
"Jab dekho farigh phirte hain ya tambako pite hain"
Larkay ki amman yeh bolin....kam kare us ki joti
"do bhai bhatta lete hain--abba khair se daku
hain"
|
nakam muhabbat ka har eik dukh sehna..
har haal main anjam se darte rehna
Qudrat ka barra anjam hai jaidi.....
mehbooba ki olad ka "mamoon" kehna! |
|
|
Rat ka waqt hai or masjid hai qareeb
uthiye jaldi se ke peghame amal laya hoon
ghar main hain filhal jitne bhi purane jote
aap bhi jake badal lain main badal aya hoon |
or bhi chizain lut chuki hain dil ke sath
yeh batayen doston ne ishq farmane ke baad
is liye kamre ki eik eik chiz check karta hoon main
" eik tere ane se pehle eik tere jane ke baad"
|
bhains rakhne ka takalluf hamse ho sakta nahin
ham ne sokhe doodh ka dabba jo hai rakha hua
ghar main rakhain ghair mehrm ko mulazim kis liye
kam karne ke liye abba jo hai rakha hua |
Utha kar phool ki
patti, nazaakat se masal daali
Ishaarey se kaha Hum dil "Aisa" haal kartey
hain
|
| |
chandni chand se hogi to sitaroon ka kiya ho ga
mohabbat eik se hogi to hazaroon ga kiya ho ga
|
Abhi abhi to pyaar ka computer kiya hai chaaloo
Aab main dil ki hard disk pe aur kitni files daaloo |
Apne chehare se ruswaai ka error to hatao
Ai jaaneman apne dil ka password to batao
|
Woh to hum hain jo aap ki chahat dil main rakhte hain
Warna aap jaise kitney hi softwares bazaar main bikte hain |